June 14, 2018

Best short urdu ghazal poets with names

Moon

Abbas Tabish

Doob kar bhi na parah fark giraan jani main.

Mai hoon pathar ki tarha behte hoye pani mai.

Yeh mohabbat tu bohut baad ka qissa hai miyaan.

Mai ne uska hath pakra tha pareshani mai.

Raftagan tum ne ebas dhong rachaya warna.

Ishq ko dakhil nahi mout ki arzani mai.

Ye mohabbat bhi wilayat ki tarha rakhti hai.

Halat hal mai ye halat herani mai.

Is liye jal ke kabhi rakh nahi hota dil.

Yeh kabhi ag mai hota hai kabhi pani mai.

Ek mohabbat hi pe moqif nahi hai tabish.

Kuch bare faisle ho jate hain nadani mai.

Shaheen Abbas

Ab aise chak par quza giri hoti nahi thi.

kabhi hoti thi miti aur kabhi hoti nahi thi.

Bohut pehle se afsurda chale ate hain hum tu.

Bohut pehle ke jab afsurdgi hoti nahi thi.

Hamain in haloon hona bhi koi asan tha kiya.

Mohabbat ek thi aur ek bhi hoti nahi thi.

Diya pohncha nahi tha ag pohnchi thi gharo tak.

Phir aisi ag jis se roshni hoti nahi thi.

Nikal jate the sar par be saro samani lade.

Bhari lagti thi ghari aur bhari hoti nahi thi.

Hamain ye ishq tab se hai ke jab din ban raha tha.

Shab hijran jab itni sar sari hoti nahi thi.

Hamain ja ja ke kehna parta tha hum hain yahin hain.

Ke jab mojoodgi mojoodgi hoti nahi thi.

Bohut takrar rehti thi bhare ghar main kisi se.

Jo she darkar hoti thi wahi hoti hoti nahi thi.

Jalil Mank Puri

Ishq ab meri jan hai goya.

Jab ab mehman hai goya.

Jis ko dekho wahi hai garam talash.

Kahi is ka nishan hai goya.

Be qayamat utha zalim ki.

Woh abhi se jawan hai goya.

Mange jaye ge tujh ko hum tujh se.

Mun mai jab tab zuban hai goya.

Ji behlane ko log sunte hain.

Dard dil dastan hai goya.

Dil mai wo kese be takleef hain.

Inka apna makan hai goya.

Haye is alam ashna ki nazar.

Har nazar mai jahan hai goya.

Ache achon ko phans rakha hai.

Zal dunia jawan hai goya.

Mushir Jhunjhua

Mohabbat main seheraye dil baraye naam ati hai.

Ye woh manzil hai jis manzil main aksar sham ati hai.

Safina jis jaga doba tha mera behair ulfat main.

Wahan har moj ab tak larza bar andam ati hai.

Na jane kiyon dil ghum ashna ko dekh leta hon.

Jahan kanoon mai awaz shikast jam ati hai.

Dil nadaan yehi rangeen adayen loot leti hain.

Shafiq ki surkhiyoon hi mai tu chip kar sham ati hai.

Mohabbat ne har ek be taluq kar diya mujhko.

Tumhari yaad bhi ab tu baraye naam ati hai.

Na jane kon si mehfil mai ab tum jalwa farma ho.

Nazar reh reh kar uth ti hai magar nakam ati hai.

Ghum dooraan se mil jati hai thori dair ko fursat.

Tasweer mai jahan ek janat be naam ati hai.

Badal sakta hoon is ka rukh magar yeh soch kar chup hoon.

Tumhara naam le kar gardish ayaam ati hai.

Ahmed Faraz

Hum khush the ke chalo dil ka junoon kuch kam hai.

Ab jo aram bohut hai tu sakoon kuch kam hai.

Rang e girya ne dikhaye nahi agli si bahar.

Ab ke lagta hai ke amezish khoon kuch kam hai.

Ab tera hijar musalsal hai tu ye bhed khula.

Ghum e dil se ghum e dunia fasoo kam kuch kam hai.

Is ne dukh sare zamane ka mujhe bukhsh diya.

Phir bhi lalach ka taqaza hai kahoon kuch kam hai.

Rah duniya se nahi dil ki zughar gha se aa.

Fasla gharcha ziyyada hai pe yoon kuch kam hai.

Ag hi ag mere quryatan mai hai faraz.

Phir bhi lagta hai abhi sozo daron kuch kam hai.

Fariha Naqvi

Woh agar ab bhi koi ehad nibhana chahe.

Dil ka darwaza khula hai jo woh ana chahe.

Ain mumkin hai ise mujh se mohabbat hi na ho.

Dil behar tor ise apna na chahe.

Din guzar jate hain qurbat ke naye rangoon se.

Rat par rat hai woh khuwab purana chahe.

Ek nazar dekh mujhe meri ebadat ko dekh.

Bhool paye ga agar mujh ko bhulana chahe.

Woh khuda hai tu bhala us se shikayat kesi.

Muqadar hai woh sitam mujh pe jo dhana chahe.

Khoon amid aya ebadat mai warq cheekh uthey.

Mai ne waheshat mai tere khat jo jalana chaha.

Noch daloon gi ise ab ke yehi socha hai.

Gar meri ankh mai koi khub sajana chahe.

Mukhmor Dehalvi

Doye ka taqaza toheed mai paya nahi jata.

Jahan meri rasaye hai mera saya nahi jata.

Mere toote hoye paye talub ka mujh pe ahsas hai.

Tumhare dar se uth kar ab kahin jaya nahi jata.

Mohabbat ho tu jati hai mohabbat ki nahi jati.

Ye shola khud bharak uth,ta hai bhar kaya nahi jata.

Fakiri mai bhi mujh ko mangne se sharam ati hai.

Sawali ho ke mujh se hath phelaya nahi jata.

Chaman tum se ebarat hai baharen tum se zinda hain.

Tumhare samne phoolon se murjhaya nahi jata.

Mohabbat ke liye kuch khas dil mukhsoos hote hain.

Ye wo nazma hai jo har saz par gaya nahi jata.

Mohabbat asal mai mokhmor wo raz haqiqat hai.

Samajh mai a gaya hai phir bhi samjhaya nahi jata.

Hari Chand Akhtar.

kaliyoon ka tabasum ho ke tum ho ke saba ho

is rat ke koi pehlo se abhi uth ke gaya ho

yoon jisam mehakta hai howe gul tar se

jese koi pehle se abhi uth ke gaya ho

dunia hamatan gosh hai ahista se bolo

kuch aur qareeb ao, koi sun na raha ho.

ye rang ye andaz nawazish tu wohi hai.

shayad ke kahi pehle bhi tu mujh se mila ho

yoon rat ko hota hai ghumaan dil ki sada par.

jese koi diwar se sar phar raha ho.

duniya ko khabar kiya hai mere zoq nazar ki.

tum mere rang ho khushbo ho ziya ho.

yoon teri nigha,hen mai asar dhoond raha hon.

jese ke tujhe dil ke dharak,ne ka pata ho.

as darja mohabbat mai tagha,fil nahi acha.

hum bhi jo kabhi tum se gurezan hon tu kiya ho.

0 comments:

Post a Comment