April 10, 2018

Romantic poetry in urdu 2021

sad

kismat.

Bulbul tu bohut hain, gul rayna nahi koi

Bemar hazaron hain masiha nahi koi.

Kam aye bure waqt mai aisa nahi koi.

Tum kiya ho zamane mai kisi ka nahi koi.

Hum ishq mai hai fard tu hosin mai yakta.

Hum sa bhi nahi ek jo tum sa nahi koi.

Tum kiya karo qismat hi agar apni buri ho.

Taqdir ke likhe ko mita,ta nahi koi.


Ghustakhiyaan.

Log kehte hain ke tu ab bhi khafa hai mujh se.

teri ankhon ne tu kuch aur kaha hai mujh se.

haaye is waqt ko kosoon ke dua doon yaroon.

jin ne har dard mera chin liya hai mujh se.

Dil ka ye hal ke dhar ke hi chala jata hai.

aisa lagta hai koi jurm howa hai mujhse se.

kho gaya aj kaha rizq ka dene wala.

koi roti jo khara mang raha hai mujh se.

ab mere qatal ki tadbeer tu karni hogi.

kon sa raz hai tera jo chipa hai mujh se.


Ek Nazar

Nighahon ke samandar ka, thikana chahate hain.

Hamain Tum se mohabbat hai, ye batana chahate hain.

Hamain achi nahi lagti, kisi masoom ki shadabi.

Tumhai apni sansoon mai, basana chahate hain.

Hamara ghar tu roshan hai, hamare naam se lekin.

Tumhare naam se jiwan, sajana chahate hain.

Hamain har hal mai, tum se aqeeda aur mohabbat hai.

Tumhare pas ane ka, bahana chahate hain.



Narm Lehja.

Narm lehjey me hai talkhi to NIFASAT kesi.

Zehar zam zam me pilao to MILAWAT kesi.

Maalik-e-jaan ye takalluf, ye taraddud kesa.

Jab badan sonp diya hai to IJAZAT kesi.

Main sar-e-aam ye kehta haan Mujrim Hoon tera.

Phir talab karta hai mujh se to WAZAHAT kesi.

kaanch ka dil tha jo toota hai mere seeney me.

hai be'zuban cheez tooti to SHIKAYAT kesi.


0 comments:

Post a Comment