August 23, 2018

20 December poetry in urdu 2022

Sad woman weeping alone

Ab kuch bhi nahi kahon ga tujhe.
jaa December tu khairyat se chala ja.

December ja raha hai
aur naye sandesay de raha hai
bohut se wadoon ke toot jane ke
kuch naye rishtoon ki
chahatoon mai lipti barshon ke
lekin dehleez par sawali bana
phir naya sal aa mojood hai
kisi qarz khuwan ki tarha
taqaze ki chadar ure
lekin zid mere hath phir khali hain.

Thithar ti hoye shab siya aur wo bhi taweel tar
mosam hijar ke maroon pe qayamat hai december.

December ki misaal do ya tumhari?
koi puch betha hai badalna kis ko kehte hain.

Har taraf se ho rahi hai tujh pe shayari
aye december zara bata teri khasiyat hai kya?

In dino taluq thora mazboot rakhna
suna hai december ke bichre kabhi nahi milte.

Yadoon ki shal urdh kar awaara gardiyaan
yoon bhi kati hain hum ne december ki sardiyan.

Mujh pe utaarro apni bahon ki hararat
rakh do is december ko jan kar ke.

December ab ke jao tu mujhe bhi sath le jana
mujhe bhi sham hona hai mujhe ghum naam hona hai.

December ki sardiyoon mai laga kar teke takiye se
yehi hai mash'ghalaa apna, bus sochtey rehna.

Ye sal bhi udasiyan de kar chala gaya
tum se mile baghair december chala gaya.

December loot aya hai
tumhare ahaydo payman se
tu ye mosaam hi ache hain
tum ahaid kar ke nahi loote
ye mosaam loot aya hai
tum abhi tak nahi aye
December loot aya hai.

Tum ishq karo aur dard na ho
matlab december ho aur sard na ho.

Tumhare bad ghuzare ge ge bhala kese hamare din
November se tu bach jaye ge tu December maar dale ga.

December dekh tu bhi tu ja raha hai chodh ke
kiya khabar agle bars tu in lamhoon mai mujhe yaad kare
ke koi tha jo tujh se piyar karta tha
par ab nahi raha december
tum tu har haal mai looto ge
par tere jane ke baad
mera haal kese ghuzre ga
ye tu mai nahi janta.

Bohut se ghum december mai december ke nahi hote
ise bhi june ka ghum tha, magar roya december mai.

Mujhe ab farq nahi parhta december beet jane ka
udasi meri fitrat hai, isey mossam se kiya matlab.

Yaad yaar ka mossam aur sard hawaon ka alam
aye dil tayar ho ja, December aney wala hai.

Bin tere kainat ka manzar
ek December ki sham ho jese
dard tehra hai aa ke yoon dil mai
umaar bhar ka qayam ho jese.

Kaha tha mere humdam ne, mile ge December mai
loot ao ke meri tarha, December bhi thora reh gaya hai.

0 comments:

Post a Comment