August 23, 2018

Poetry in urdu 2 lines | top 20

Sad weather


Kitna ajeeb rishta hena ye mohabbat ka "saqi"
Dil takleef mai hai, aur takleef dene wala dil mai. 😞

Ur jaye ge teri duniya se parindoon ki tarha.
Roya karo ge tum hamari rahoon ko dekh kar. 😑

Socha tha woh bohut toot kar chahe ga mujhe.
par kya hua, socha bhi mene, chaha bhi mene, aur toot bhi hum gaye. 😭

Aya tha Imteyhaan mai mazmoon "Bewafaa".
Zikar tera jo kiya tu hum Top kar gaye. 😌

Aur kya chahete ho is dil mai makaam apnaa.
keh tu diyaa "Meri" qul qainaat ho tum. 😐

Hans hans kar karte rahe, wo mere piyar ki tuheen.
Hum kehte rahe mar jaye ge, wo kehte rahe "Ameen". 😑

kisi aur ki jaga baki nahi mujh mai.
hum tum se shoro ho kar, tum pe hi khatam ho jate hain. 😪

kuch is tarha se diary mokamal ki mene.
pehle safey pe Tum, or akhri mai Hum likh diya. 😐

mere dil ki umeedon ka hosla tu dekh.
intizaar uska hai, jise mera ahsas tak nahi hai. 😐

Teri muskan, tera lehja, tere masoom se alfaz.
kiya kahoon bus, bohut yaad ate ho tum. 😔

Unche logo mai hum khud ko shumar nahi karte.
hamari sadgi hi kafi hai, logon ka dil jitne ke liye. 😌

Ek tujhe ko hi chaha tha zamane se larkar.
Tum ne zamane se mil kar, mujhe hi tanha chor diya. 😕

Tanhaye mai rehne ka adi ho ja aye dil.
Wo log hi badal gaye jo har roz pocha karte the. 😔

Jab jeena ka shok tha tab dushman hazar the.
Ab marna chahati Hon toh qatil koi nahi milta. 😐

Mein Uska hoon yeh Raaz toh Woh Jaan Chuka hai.
Woh kis ka Hai yeh Swaal Mujhe Sone nahi Deta. 😞

Tumko kya pata hum tere bina kese ji rahe hain.
Hum sharab tu nahi magar, ghum ke ansoon zaroor pi rahe hain. 😟

Muskorahat juda na karna mere yaar ke hontoon se.
Bara masoom sa chehra hai, adas ho tu acha nahi lagta. 😓

Nazdik akar dekh mere ahsas ki shidat.
kitna dharakta hai ye dil, ek tere naam se. 😏

Ahista chal aye zindagi, Kisi ka Qarz chukana baqi hai.
Kuch dard mitana baki hai, Kuch farz nibhana baqi hai. 😐

Sakoon ki talash main hum apna dil bech nikle they.
Kharidaar aisa mila dard bhi de gaya, aur dil bhi le gaya. 😐



0 comments:

Post a Comment