October 7, 2018

Sad urdu poetry | Bewafaiyan

sad Bewafaiyan

Bewafa Sanam 😭

Ye jo hum tum par jan dete hain.
Ishq hai jis ko hum man dete hain.
Ek lao tu koi hum jesa.
Hum tum ko sara jahan dete hain.

Bewafaiyan 😞

Honto pe ulfat ka naam hota hai.
Ankho mai chalakta jam hota hai.
Talwaron ki wahan aukat kya hogi.
Ankhon se jahan qatal e aam hota hai.

Dard e Dil 💔

Hasratoon ki ek nishani hoon mai.
Khamosh ankh ka pani hoon mai.
Jese koi na parh paye aise hi.
Poshida si ek kahani hoon mai.

Yadain 😞

Kuch log kehte the ke har mor pe yad karen ge apko.
Lekin shayad inka pora rasta hi sidha tha.
Na mor aya, or na hi hum yad aye.

Ek Bewafa 😢

Usne kaha tum mai ab pehle jesi baat nahi.
Mene kaha ab zindagi mai tumhara sath nahi. 
Usne kahaa kya ab bhi kisi ki ankhaoon mai dhoob jate ho?
Mene kaha ab kisi aur ki ankhon mai woh bat nahi.
Usne pocha kyo itna toot kar chaha mujhe?
Mai ne kaha insan hon mujh mai pathar wali bat nahi. 
Usne poucha kya mai bewafa hon?
Mai kaha ab mujh mai wafa ki talash nahi. 
Usne kaha bhol jao mujhe.
Mai ne kaha tum haqeeqat hon koi khawab nahi.

Udas Lamhay 😶

Uddas logoon se pyar karna koi to sikhe.
Safaid lamhoo mein rang bhar na koi toh sikhe.
Koi toh Aaye khizaa mein patte ugane wala.
Gullu ki khushboo kaid  karna koi to seekhey.
Meri Nigahoon se baat karna koi To seekhey.
Koi toh aye nae raaton ka payam lekar.
Andheri raaton mein chand bana koi tu sikhey.

0 comments:

Post a Comment